Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi

Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi

9.44MB
      Kabhi pyase ko pani pilay - Jainsite.com
Description: kabhi pyase ko pani pilaya nahi badme amruth pilane se kya fayda kabhi girte huve ko uthaya nahi badme aasu bahane se kya fayda. [mein toh mandir gayi,puja-aarti ki puja karte huve ye khayal aa gaya]..(2) kabhi maa-baap ki seva ki hi nahi sirf puja ke karne se kya fayda; kabhi pyase............fayda. [mein toh satsang gayi, guru vani suni, guru vani ko sunkar khayal aa gaya]..(2) janm manav ka leke daya naa kari fir manav kehlane se kya fayda; kabhi pyase.............fayda. [maine daan diya, maine jap-tap kiya daan karte huve ye khayaal aa gaya]...(2) kabhi bhuke ko bhojan khilaya nahi daan lakho ka karke kya fayda; kabhi pyase............fayda. [ganga nahane haridhwar kashi gayi ganga nahane hi mann me khayal aa gaya]...(2) tann ko dhoya magar mann ko dhoya nahi fir ganga nahane se kya fayda; kabhi pyase............fayda. [maine veda padhe,maine shashtra padhe shashtra padhte hue ye khayaal aa gaya]...(2) maine gyaan kisiko baata nahi fir gyaani kehlaane se kya fayda; kabhi pyase............fayda. [maa-pita ke charno mein charo dham hai aaja-aaja yahi mukti ka dham hai]...(2) pita-mata ki seva ki hi nahi fir tirtho mein jaane se kya fayda; kabhi pyase............fayda. kabhi girte huve ko uthaya nahi [badme aasu bahane se kya fayda]...(3)

Related Articles