navtatva

navtatva

navtatva

Topic – NAV TATVA
Q1. Tatva kise kehte hai ?
1A. Vastu ke vastavik swarrop ko tatva kehte hai .
Q2. Tatva kitne hai ?
2A. 9
Q3. Nau tatva kaun kaun se hai ?
3A. Jeev, Ajeev, Punya, Paap, Aashrav, Samvar, NIrjara, Bodh aur Moksh .
Q4. Inn Nau Tatvon ke kitne bhed hai ?
4A. 115 bhed .
Q5. Upyog Gun va Chetna ka Lakshan kis tatva mein hai ?
5A. Jeev Tatva mein .
Q6. Jad kiska lakshan hai ?
6A. Ajeev ka .
Q7. Jeev ke kitne bhed hai ?-
7A. 2 bhed – Sansaari aur Siddh .
Q8. Sansaari jeev kise kehte hai ?
8A. Jo karm sahit hai use sansaari jeev kehte hai.
Q9. 8 karmon se jo mukt ho gaye use kya kehte hai ?
9A. Siddh .
Q10. Punya kise kehte hai ?
10A. Jo Aatma ko Shubh Saatakari fal pradaan kare use PUNYA kehte hai .
Q11. Paap kise kehte hai ?
11A. Aatma ko jo Malin kare use PAAP kehte hai .
Q12. Aasrav kise kehte hai ?
12A. Aatma roopi Taalab mein KARM roopi paani aane ko AASRAV kehte hai .
Q13. SAmvar kise kehte hai ?
13A. Aate hue Karm roopi paani ko rokne ko SAMVAR kehte hai .
Q14. Nirjara kise kehte hai ?
14A. Aatma se lage karmon ko deshatah NASHT karna NIRJARA hai ?
Q15. Bandh kise kehte hai ?
15A. Paani va DOODH ki baanti Aatma va Karmon ka ekmek ho jaana BANDH hai .
Q16. Moksh kise kehte hai ?
16A. Aatma se samast Karmon ka Nasht ho jaana hi MOKSH hai .
TOPIC – JEEV
Q17. Jeev ke 14 bhedonke suksham mein kitne bhed hai ?
17A. 2 bhed
Q18. 2 bhed kaun kaun se hai ?
18A. Suksham ekendriy ke Paryaapt aur Aparyaapt .
Q19.Jeev ke 14 bhedon ke baadar ke kitne bhed hai ?
19A. 12 bhed .
Q20.Suksham Jeev lok mein kahaa rehte hai ?
20A Sampurn Lok mein Thasaathas bhare rehte hai .
Q21. Kya Siddhshila par bhi jeev hai ?
21A. Haa. Jeev hai .
Q22. Siddhshila par kitne jeev hai ?
22A. Suksham ke 10( 5 suksham sthaavar ke paryaapt Aparyaapt ) aur baadar Prithvikaay ke Paryaapt aur Aparyaapt. Kul 12 .
Q23. Jeev ke 14 bhedon mein aapka kaunsa bhed hai ?
23A. 14th (Sanni Panchendriy ka paryaay )
Topic – AJEEV
Q24. Ajeev ke 14 bhedon ke Roopi va Aroopi kitne hai ?
24A. 10 Aroopi va 4 Roopi .
Q25. Pradesh kise kehte hai ?
25A. Dravya ka vah Suksham bhag jiske dusre bhaag ki kalpana nahin ki jaa sakti .
Q26. Desh kise kehte hai ?
26A. Aneko Pradeshon ka samuh DESH kehlata hai .
Q27. Skandh kise kehte hai ?
A27. Anek Desho ka samuh Skandh kehlata hai .
Q28. Parmaanu kise kehte hai ?
28A. Ati Suksham bhag ko jiska phir hissa naa kiya jaa sake .
Q29. Parmaanu aur Pradesh mein kya antar hai ?
29A. Parmaanu – Pruthak hote hai, Pradesh – Desh aur Skandh se mile hue hote hai .
Q30. Kya Parmaanu dikhaayi deta hai ?
30A. Nahin. Parmaanu ko aankh ya kisi yantra dwara nahin dekha jaa sakta .
Q31. Pudgal kise kehte hai ?
31A. Jisme Varn, Gandh, Ras aur Sparsh ho tatha Jo sadan-galan ki vidhvansan swabhaav wala ho use Pudgal kehte hai .
Topic :- Punya
Q32.Kya bhukhe ko bhojan va pyase ko pani dene se dharm hota hai ?
A32.Nahi,Punya hota hai !
Q33.Wah kon sa punya kehlata hai?
A33.Aan punya,pan punya !
Q34.Garib ko vastra dene se kon sa punya hota hai ?
A34.Vastra punya !
Q35.Upasray,Sthanak ki agya dena kya kehlata hai ?
A35.Layan punya !
Q36.Sadhu-sadhvi ko Pat-patle dena kon sa punya hai ?
A36.Sayan punya !
Q37.Man me achhe vicharo ka pravah hona kya kehlata hai ?
A37.Man punya !
Q38.Mukh se prabhu bhakti ke madhur swar nikalna kya kehlata hai ?
A38.Vachan punya !
Q39.Rogi ki seva karna kon sa punya hai ?
A39.Kaya punya !
Q40.Sadhu-Sadhvi ke sath chalne se kitne punya hote hai ?
A40. 3 punya (Man,Vachan,Kaya)
Q41.Vyakhyan me aate samay kitne punya hote hai ?
A41. 3 punya !
Q42. Dravya vandan se konsa punya hota hai ?
A42. Kaya punya
Q43. Bhav se vandan karne se konsa punya hota hai ?
A43. Kaya punya kam,Nirjara adhik hoti hai !
Q44.Mata-Pita gurujano ko pranam karna kya kehlata hai ?
A44. Namaskar punya !
Q45. Aan dekar punya kisne bandha ?
A45. Salibhadra ke jiv ne (sangam) !
Q46. Aan dekar ke sansar kisne badaya ?
A46. Nagsri brahmani !
Q47.Aan dekar ke punya kisne khoya ?
A47.Puran seth ne !
Q48.Aan bina diye kewal bhawna se punya kisne bandha ?
A48.Jiran seth !
Q49. Pani dekar punya kisne bandha ?
A49. Sankhraja va Suyasa rani !
Q50. Pani se paap kisne bandha ?
A50. NandManiyar !
Q51. Pani ka parishkar kar jin dharmi kisne kisko banaya ?
A51. Subudhi pradhan ne Jitsatru raja ko !
Q52. Pani samne hote hue bhi pipasa parisah ko jitne ke liye santhara kisne kiya ?
A52. Ambadji ke 700 sisya !
Q53. Layan punya karke 1bhavtari kon bane ?
A53. Sakdal putra Kumbhkar !
Q54. Sayan punya karke sayatar ki prasidhi kisne pahi ?
A54. Jayanti sravika !
Q55. Vastra dekar punya kisne bandha ?
A55. Sakrender !
Q56. Man ke asubh bhavo ka paschatap kar kewalgyan kisne paya ?
A56. Prasanchand rajsri !
Q57 .Vachan ke dwara punya kisne bandha ?
A57. Krishna maharaja !
Q58. Dharm dalali karke punya bandh kisne kiya ?
A58. Krishna va Srenik raja !
Q59. Vachan ka durupayog karke paap ka bandh kisne kiya ?
A59. Goshalak-Jamali
Q60. Vachan ka sadupayog karke 1he sastra me 36hajar prasna kisne puche ?
A60. Gautam swamiji !
Q61. Kaya se seva karke balishthta kisne payi ?
A61. Bahubaliji ne purva bhav me !
Q62. Rugna muni ki seva karke samyaktva kisne prapt ki ?
A62. Jivanand vedh/Kharak vedh !
Q63. Kaya dwara karm bandh kisne kiya ?
A63. Kalu kasayi !
Q64. Vandan karke narak bandhan kisne toda ?
A64. Krishna maharaja !
Q65. Vandan karne gaye vandaniya kon ban gaye ?
A65. Dasanbhadra raja !
Topic :-Paap
Q66. Paap kitne hai ?
66A. Athaarah 18
Q67. Pratham paap kaunsa hai ?
67A. Praanatipaat – Praan + Atipaat arthat Praano ko nasht karna .
Q68. Dusron ke praano ko nasht karne wala kahaa jaata hai ?
68A. Narak mein .
Q69. Panchendriy praanon ko nasht karne wala narak main KAUN gaya ?
69A.Kaalu Kasaai roj 500 paade maarne se narak mein gaya .
Q70. Dusron ke praanon ki raksha karne wala kahaa jaata hai aur kaun gaya ?
70A. Devlok mein . Meghraja ne kabutar ki raksha kar devlok mein gaye .
Q71. Dusra Paap kaunsa hai ?
71A. Mrishaawaad = Mrushaa = Asatya , Vaad = Vachan arthat Asatya Bolna .
Q72. Jhooth bolne ka kya fal hai ?
72A. Agle bhav mein Gunga athva uska Swar besura, karkash, jan ichchhit nahin hota .
Q73. Satya bolne ka kya fal hai aur kisko mila ?
73A. Lok mein pratiti, Devlok mein khyaati, yash ki praptiaur uchch gati ka Bandh hota hai .
Raja Harishchandra ko
Q74. Teesra Paap kaunsa hai ?
74A. Adattadaan = A+datt+aadaan arthat nahin di gayi vastu ko graham karna .
Q75. Vartamaan mein chori karne ka fal kya hai ?
75A. Apyash, Ninda, Lok mein Apratiti, Durgati mein Niwaas .
Q76. Kisi bhi prakaar ki chori nahin karne ka kya fal hota hai ?
76A. Lok Vishwaas Vrat Aaradhak .
Q77. Chautha Paap kaunsa hai aur uska FAL kya hai ?
77A. Maithun = Kushil sevan karna . Agle bhav mein Napunsak banna .
Q78. Paanchva Paap kaunsa hai ?
78A. Parigrah . Dhan Sangrah ki Laalsa rakhna .
Q79. Dhan ka mamatva kahaa le jaata hai ?
79A. Tiryanch gati mein sarp aadi ban jaata hai athva narak tak chala jaata hai ?
Q80.Dhan ke mamatva karkenarak mein kaun gaya ?
80A. Mamman seth Asakti se narak gaya .
Q81. Krodh, Maan, Maay, Lobh kashaay hai ya Paap ?
81A. Kashaay aur Paap dono hai .
Q82. Chhatta Paap kaunsa hai ?
82A. Krodh —- Krodh = K=Kalyan, rodh=roke. Jo kalian ko roke vah krodh hai .
Q83. Krodh karke tiryanch mein kaun gaya aur Krodh ko vash mein kisne kiya ?
83A. Chandkaushik ka purv bhav .
Chitt Angaar ne .
Q84. Saatva Paap kaunsa hai ?
84A. Maan . Maan = Maa = Marg, N =nahin dikhta hai. Jisme sanmarg nahin dikhe vah MAAN kehlata hai .
Q85. Maan karke durgati kisne ki aur Tyaag kisne kiya ?
85A. Konik ne .
Darshaanbhadra Raaja ne .
Q86. Maaya ka arth kya hai ?
86A. Maaya = Maa = Marg, Yaa = Yaatna ka arthat jiska sevan karne se tiryanch gati ki yaatna prapt ho .
Q87. Maaya karke durgati kisne paayi ?
87A. Raavan mein .
Q88. Maay ka tyaag kar maardavta kisne apnaayi ?
88A. HarikeshiMuni ki aatma ne purv bhav Somdev Vipr ke bhav mein .
Q89. Nauva Paap kaunsa hai ?
89A. Lobh . Lobh = Lo=lok mein, bh = bhravan arthat jo sansaar mein bhraman karaaye use LOBH kehte hai .
Q90. Lobh karke durgati mein kaun hai ?
90A. Durgati – Shubham Chakravarti, Konik Raja aadi .
Q91. Lobh ka tyaag karke sadgati mein kaun gaya ?
91A. kapil kewali .
Q92. Dasvaa Paap kaunsa hai ?
92A. Raag – Atyaadhik sneh ko raag kehte hai .
Q93. Ati-Raag se kya hota hai aur kiska hua ?
93A. Ati-Raag se sansaar bhraman badhta hai, durgati bhi milti hai .
Sridevi Chakravarti ke prati ati-raag karne ke kaaran chhatti narak mein gayi .
Q94. Gyarahvaa paap kaunsa hai ?
94A. Dwesh . Kisi se vair-virodh karna Dwesh hai .
Q95. Dwesh ko badhane ki durgati ke kaun gaya ?
95A. Abhidhi Kumar ( Udaayan ke prati dwesh hone se viradhak bana )
Q96. Dwesh ko mitane se kshama pradaan karne se sansaar kisne ghataaya ?
96A. Udaayaan Raja ne Chand Kaushik ko kshama kiya aur dwesh ko mitaya .
Q97. Baarah vaa Paap kaun hai ?
97A. Kalah = Aapas mein jhagda karna Kalah hai .
Q98. Jhagda kiske liye hota hai ?
98A. Teen chijo ke liye hota hai – Jar, Joru aur Jameen .
Q99. Kalah ki paribhasha kya hai ?
99A. kaln hanti iti kalah . Jo kala ko nasht wah kalah hai .
Q100. Raai jitni se chij par uthane mein 2 jane chahiye, wah chij kya hai ?
100A. Ladaai-Kalah
Q101. Terahvaa Paap kaunsa hai ?
101A. Abhyaakhaan = jhootha aarop lagana, kalank lagana,
Q102. Jhoothe aarop se kisko kya fal mila ?
102A. Sita ne purv bhav mein ek Yogin pae dwesh vash kalank lagaya, uss paap ka uday aaya aur Sitaji ko Agni Pariksha deni padi .
Q103. Chaudahavaa Paap kaunsa hai ?
103A. Paishun = Chugli karna .
Q104. Chugli karne ka kya fal milta hai aur kisne ki ?
104A. Agle bhav mein Shikaariyon se pareshaan hona padta hai .
Sati Shrimati ki Saasu ne .
Q105. Pandrahvaa Paap kaunsa hai ?
105A. Rati-Arati = Manogya Vastu ka Raag karna aur Amanogya Vastu par Dwesh karna .
Q106. Ninda karne ka kya fal hai aur kisne baandha ?
106A. Ashubh Karmo ka Bandh hota hai .
Goshaalak ne .
Q107. Solahvaa Paap kaunsa hai ?
107A. Par-Parivaad . = Dusron ki Ninda karna Par-Parivaad kehlata hai .
Q108. Manogya vastu par Raag karke karm kisne baandha ?
108A. NandManiyaar ne .
Q109. Manogya vastu par Raag tyaag kar saiyam kisne kiya ?
109A. Sthulibhadraji ne .
Q110. Amanogya vastu par Dwesh karke karm kisne bandha ?
110A. Rani Durgandha ne ( Shrenik Raaja ki Rani ) purva bhav mein .
Q111. Amanogya vastu par se Dwesh kisne hataya ?
111A. JitShatru Raja ne .
Q112. Satrahvaa Paap kaunsa hai ?
112A. Maaya Mrushaawaad Paap = Chhal kapat purvak jhooth bolna .
Q113. Maaya Mrushaawaad ke sevan se jeev ko kya fal milta hai va Kisne kiya ?
113A. Kauaa, Cheel aadi banta hai .
Goshaalak ne ( Kapat purvak jhooth bola ki 24th Tirthankar mai hoon )
Q114. Athaarahvaa Paap kaunsa hai ?
114A. Mithyadarshan Shalya = Kudev, Kuguru, Kudharm ki maanyata rakhna MithyaDarshan Shalya .
Mithya = Viparit, Darshan = Shraddhan, Shalya = Kaanta .
Q115. Athaaraah paapo mein sabse badaa Paap kaunsa hai ?
115A. Athaarahvaa (Mithyadarshan Shalya )
Q116. Athaarah Paapo mein Baap kaun aur Bete kaun hai ?
116A. Mithyadarshan Shalya Baap aur Shesh Sataraah Paar Bete hai ?
Q117. Athaarah Paapon mein Raagi kitne hai ?
117A. Maithun, Parigrah, Maaya, Lobh aur Raag yeh 5 Raagi Paap hai .
Q118. Athaarah Paapon mein Dweshi Paap kaunse hai ?
118A. Dwesh, Krodh, Mrushaawaad aur MithyaDarshan Shalya yeh 4 dweshi paap hai .
Q119. Shesh bache hue paap kya hai ?
119A. Shesh paap Raagi Dweshi dono hai ?
Topic Ashrav-
Q120. Aashrav kise kehte hai ?
120A. Jis prakar talab me pani aata hai, usi prakar jin kaarano se aatma me karm aate hai un kaarano ko jain dharm me Aashrav kehte hai !
Q121. Aashrav ke kitne prakar hai va kon kon se ?
121A. 3 prakar Jaganya, Madhyam aur Utkrusht !
Q122. Aashrav ke jaganya, madhyam, utkrust kitne bhed hai ?
122A. 5/20/42 !
Q123. Aashrav ke 5 bhed kon kon se hai ?
123A. Mithyatva, Avrat ,kashay, pramad aur yog !
Q124. Aashrav ke 20 madhyam bhed kon kon se hai ?
124A. Mithyatva, avrat, pramad, kashay, ashubhyog, pranayipat, mrushavad, adatadan, maithun, parigrah, srotendriya, chaksundriya, dhranendriya, rasnendriya, sparsindriya, man, vachan, kaya ko vash me nahi rakhe, bhand prakaran aur suhi kusagra matra ayatna se lena aur rakhna !
Q125. Mithyatva aashrav kise kehte hai ?
125A. Kuguru, kudev, kudharm (mithya dharm) par shradha karna mithya aashrav hai !
Q126. Mithyatva ke kitne bhed hai ?
126A. Jaganya 5, madhyam 10, aur utkrust 25 bhed !
Q127. Mithyatva ka aashrav kisne kiya ?
127A. Nandmaniyar ne !
Q128. Avrat aashrav kise kehte hai ?
128A. Vrat pratyakhyaan nahi kare to aashrav !
Q129. Avrat aashrav ke kitne bhed hai ?
129A. 12 bhed – 6 kay ki yatna nahi karna, aur 5 indriya avam man ko vash me nahi karna ashrav hai !
Q130. Avrat aashrav ka sevan kisne kiya ?
130A.Kundrik angaar ne kiya, vrati se avrati bana !
Q131. Pramaad ke kitne bhed hai va kon kon se hai ?
131A. 5 bhed – Mad, visay, kasay, nidra, Vkatha !
Q132. Mad kise kehte hai va mad kisne kiya ?
132A. Kisi bhi vastu ya shakti ka abhiman karna mad hai
Bahubaliji ne mad kiya !
Q133. Vshay roop pramad kya hai va pramad kisne kiya ?
133A. Indriyo me raag dwesh karna !
Kundrik ne pramaad kiya !
Q134. Kashay namak pramaad kya hai va kashay pramaad kisne kiya ?
134A. Kisi bhi baat per krodhaadi karna !
Chandkaushik ke purva bhav ne kiya !
Q135. Nidra namak pramaad kya hai va iska sevan kisne kiya ?
135A. Shayan (sona) karna nidra pramad hai !
Sailek rajsri ne iska sevan kiya !
Q136. Vikatha namak pramaad kya hai ? iska arth kya hai ? iska sevan kisne kiya ?
136A. Vyarth ki baate karna, idhar udhar ki baate karna vikatha pramaad hai, stri-purus, bhakt-bhojan raja adi ki baate karna ! Iska sevan Goshalak ne kiya !
Q137. Kashay kise kehte , iske kitne bhed va kon kon se ?
137A. Krodh, maan, maya, Lobh ka sevan karne ko kashay kehte hai va inke 4 bhed hai
Krodh Maan Maya Lobh !
Q138. Krodh kise kehte hai va iska aashrav kisne kiya tha ?
138A. Sam-bhav ko bhul ke akrosh me bhar jana krodh kehlata hai !
Iska aashrav Khandak rishi (ghani me pile gaye) the !
Q139. Maan kise kehte va uska aashrav kisne kiya ?
139A. Garva, Abhiman, Jjuthe atma darsan ko maan kehte hai
Dasanbhadra ne iska aashrav kiya !
Q140. Maya kise kehte hai ? Iska aashrav kisne kiya ?
140A. Kapat bhav arthat vichar aur pravruti me ekrupta ke abhav ko maya kehte hai . Iska aashrav Mahabal muni ne kiya (Mallinathji ka purva bhav) !!
Q141. Lobh kise kehte iska aashrav kisne kiya ?
141A. Aasakti, mamta ke parinamo ko lobh kehte hai iska aashrav Subhum chakravarti ne kiya !
Q142. Asubhyog kise kehte hai ?
142A. Man, Vachan, Kaya ki dushpravruti ko asubhyog kehte hai !
Q143. Pranatipaat kise kehte hai iska aashrav kisne kiya ?
143A. Jiv hinsa karna, unke prano ka atipat karna pranatipat kehlata hai iska aashrav Vasuraja ne kiya .
Q144. Mrushavad kise kehte iska aashrav kisne kiya ?
144A. Mrusha athva jooth bolna iska aashrav Puran seth ne kiya (veer prabhu ko udad ke bakule vohrake kaha ki maine kheer vohrayi )!!
Q145. Adatadan kise kehte hai iska aashrav kisne kiya ?
A145. Chori karne ko adatadan kehte hai iska aashrav Vijay chor ne kiya !
Q146. Maithun kise kehte iska aashrav kisne kiya ?
146A. Kushil sevan ko maithun kehte iska aashrav Manirath raja ne kiya !
Q147. Parigrah kise kehte iska aashrav kisne kiya ?
147A. Dhan sangrah karna, uske prati mamatva rakhna parigrah hai iska aashrav Subhum chakravarti ne kiya !
Q148. Shrotendriya aashrav kise kehte iska aashrav kisne kiya va iske vashibhut hoke pran kon gavate hai ?
148A. Shrotendriya ko vash me nahi rakh ne se shrotendriya aashrav hota hai iska aashrav Tripust vasudev ne kiya ! Iske vashibhut hokar Hiran pran gavata hai !
Q149. Chakshuindriya ka aashrav kaise hota hai iske aashrav se pran kiske jate hai ?
149A. Chakshhuindriya ko vash me nahi rakhne se chakshuindriya aashrav hota hai iske aashrav se Patanga deepak ki lau per mandra kar pran gavata hai !
Q150. Dhranendriya ka aashrav kaise hota hai iske vash me hokar kaun pran gavata hai ?
150A. Dhranendriya ko vash me nahi rakh ne se aashrav hota hai iske aashrav se bhavra pran gavata hai
Q151. Rasnendriya aashrav kaise hota hai iska aashrav kisne kiya ?
151A. Rasnendriya ko vash me nahi rakhne se aashrav hota hai iska aashrav Mangu acharya ne kiya (rasna vash hokar yaksh yoni prapt ki )!
Q152. Sparsheindriya aashrav kaisa hota hai iska aashrav karke kisne apni sadhna dav per lagahi ?
152A. Sparsheindriya ko vash me nahi rakh ne se iska aashrav Sadhvi sukumaliks ne kiya !
Q153. Man ka aashrav kise kehte iska aashrav kisne kiya ?
153A. Man ki asubh pravratiyo ko man aashrav kehte hai iska aashrav Tandulmuch va Nagsri ne kiya !
Q154. Vachan aashrav kise kehte iska aashrav kisne kiya ?
154A. Vachan ko vash me nahi rakhna vachan aashrav hai iska aashrav Goshalak ne kiya !
Q155. Kaya ka aashrav kise kehte iska aashrav kisne kiya ?
155A. Kaya ko vash me nahi rakhna kaya aashrav hai iska aashrav Palak mantri ne kiya !
Q156. 19th aashrav konsa hai ?
156A. Bhandoupkaran ayatna se lena va ayatna se rakhna !
Bartan adi ko bhand kehte hai !
Q157. Sui ( needle ) ko pramad me ghuma dene se konsa aashrav hota hai ?
157A. Sui ko ayatna se lena ayatna se rakhna ye 20va aashrav hai !!
TOPIC : – SAMVAR-
Q158. SAMVAR kise kehte hai ?
158A. Aate hue karmo ko rokna arthat asat pravruti se nivruti lena SAMVAR kehlata hai !
Q159. SAMVAR ke kitne bhed hai ?
159A. Jaganya-20
Utkrust- 57 bhed !
Q160. Sammit SAMVAR kise kehte hai iski sudh aradhna kisne ki ?
160A. Sudev,suguru,sudharm ke prati drud astha rakhna samkit SAMVAR kehlata hai
Iski sudh aradhna Sulsa sravika ne ki !
Q161. Vrat pratiyakhan kise kehte hai iski aradhna kisne ki ?
161A. Paap se veerat hone ko vrat prattakhan kehte hai iski aradhna Pradesi raja ne ki !
Q162. Pramad SAMVAR kise kehte hai ? Iski aradhna kisne ki ?
162A. 5 prakar ke pramad ko tyag kar apramad me aane ko pramad SAMVAR kehte hai iski aradhna Sailekrajsri ne ki !
Q163. Kasay SAMVAR kise kehte hai ? Iska SAMVAR kisne kiya ?
163A. Aate hue krodhadhi parinamo ko rokna kasay SAMVAR kehlata hai iska SAMVAR Khandakji ke 500 sisya ghani me pilte hue bhi kasay SAMVAR kiya !
Q164. Yog SAMVAR kise kehte hai iski aradhna kisne ki ?
164A.Yogo ki asubh pravrati ka tyag karna yog SAMVAR hai iski aradhna Puniya sravak (sulas kumar)ne ki !
Q165. Apranatipat SAMVAR kise kehte hai ? Iski sudh aradhna kisne ki ?
165A iv hinsa se virat hona apranatipat SAMVAR hai iski aradhna Sanjay (sayanti)raja ne ki !
Q166. Amrusavad SAMVAR kise kehte hai ? Iski aradhna kisne ki ?
166A. Asatya nahi bolne ko amrusavad SAMVAR kehte hai Yudhister ne iski aradhna ki !
Q167. Adatadan SAMVAR kise kehte hai iski aradhna kisne ki ?
167A. Chori nayi karna adatadan SAMVAR hai Ambad sanyasi ke 700 sisyo ne iski aradhna ki !
Q168. Ambad sanyasi ke 700 sisyo ne adatadan SAMVAR Ki sudh aradhna kaise ki ?
168A. Unhone pratigya ki thi ki koi bhi vastu bina diye nahi lenge !
Q169. Ambak parivrajak ke sisyo ne 3re vrat ki aradhna kaha per ki ?
169A. Ambadji ke sisya chalte chalte aise jungle me pahunche ,jaha bhayankar atvi thi,pass ka pani samapt ho gaya,bhayankar pyas se vyakul ho gaye 4ro taraf dundne per bhi koi pani lene ki agya dene wala nahi mila !
Q170. 700 parivrajo ne milkar kya nirnay kiya ?
170A. 700 prarivrajo ne nirnay kiya ki humne Veer prabhu se vrat liya hai ki bina diye koi vastu nahi lenge ,halanki pass me he Ganga nadi beh rahi hai,parantu dene wale ke abhav me yaha pani hame lena nahi kalapta hai,hum sab prabhu Mahaveer ki dharm pragyapti ke anusar santhara grahan karle !
Q171. Aisa sochkar 700 parivrajo ne kya kiya ?
171A. 700 parivrajo ne kaha -anant gyan mukt sirdho ko hamara namaskar ho,bhagwan Mahaveer ko jo sidh avastha prapt karne ko samudhat hai,hamara namaskar ho,hamare dharmacharya dharmopadeshak Ambad parivrajako ko namaskar ho !!
Q172. 700 Parivrajko ne dev aur guru ko namaskar karke kya kaha ?
172A. Bhagwan mahaveer ke sakshi se hum sab prakar ki hinsa ,asatya,chori,b
rahmachariya,parigraha sab prakar ke kasay adhi ka tyag karte hai is isth aur vallabh lagne wale sarir ki mamta hatathe hai,4ro prakar ke aahar pani ka tyag karte hai,santhara grahan karte hai !
Q173. Sarir tyag kar 700 sanyasi kaha gaye ?
173A. Brahmadev kalp me (5ve devlok)me utpan hue !
Q174. 5ve devlok me un 700 sanyasiyo ki sthiti kitni hai ?
174A. 10 sageopam ki !
Q175. Ambad sanyasi kon tha ? Unki dharm sadhna kaisi thi ?
175A. Veer prabhu ke vrat dhari sramnopasak tha prati mahine ke 6-6 prapurna pausadh karte the !
Q176. Ambad sanyasi ka atishay kya tha aur ye kis se sampan the ?
176A. Ambadji Kampilyapur nagar ke 100 gharo me ek sath ek samay me bhojan karte the aur anek vidhyao se sampan the !
Q177. Veer prabhu ne kis sanyasi ki prasansa kiske samne ki thi ?
177A. Ambad sanyasi ki prasansa Gautamswamiji ke samne ki thi !
Q178. Veer prabhu ne ambad sanyasi ki prasansa kin sabdo me ki ?
178A. Ambad prakruti se bhadra,saumya,v
yavhar sheel,paropakar parayan,shantma
n,atyant komal,ahankar rahit,gurujano ke prati vinay sheel hai !
Q179. Ambad sanyasi kaisa tap karta tha ?
179A. Bele-bele ka tap karte hue bhujaye unchi uthaye,bhumi me atapnaye lete hue tap ka anusthan karta tha !
Q180. Taasya me raman karte hue subh parinam,subhadhyavasay,visudh hoti hui prasat lesiyao ke pudgal dravya ke sansarg se hone wale atma-parinamo ya vicharo ke karan unhe kya prapt hua ?
180A. Tapasiya me raman karte hue viryalabdhi,vaikriyalabdhi,aur avdhigyan ki labdhi prapt hui !
Q181. Virya labdhi kise kehte hai ?
181A. Vishes shakti ko virya labdhi kehte hai !
Q182. Vaikrya labdhi kise kehte hai ?
182A. Ek rup ke anek rup ek sath banane ka samarthya rakhne wali vaikrya labdhi kehlati hai !
Q183. Avadhigyan labdhi kise kehte hai ?
183A. Atindriya (indriya ke bina sahyog se)rupi padartho ko sidhe aatma dwara janne ki yogyata ko avdhigyan labdhi kehte hai !
Q184. Jan vishmapan hetu-logo ko ascharya chakit karne ke liye ambad sanyasi kya karta ?
184A. Ek sath apne swayam ke 100 rup banata,kampilyapur me ek he samay me 100 gharo me aahar karta 100 gharo me nivas karta tha !
Q185. Ambad sanyasi kis labdhi ke dwara 100 rup banata tha ?
185A. Vaikrya labdhi !
Q186. Ambad sanyasi ka achran kaisa tha ?
186A. Utkrust,anutkrust,sheelvrat,gu
nvrat,,virmanvrat virti,pratyakhyan,tyag avam pausadhopavas dwara atma bhavit hota hua bahut varsho tak sramanopasak paryay sravak dharm ka palan kiya !
Q187. Ambadji mrutyu kal aane per deh tyag kar kaha gaya ?
187A. Ambadji ek mas ki salenkhana aur 60 bhakt -ek mas ka ansan sampan kar alochana pratikraman kar samadhi purvak deh tyag karke brahmalok kalp me dev rup me utman hua !
Q188. Ambadji ki devlok me ayusya kitni hai waha se ayusya purna kar kaha jayenge ?
188A. 10sagropam ayusya waha se ayusya purna kar Mahavideh chetra me jann lenge aur waha se sayam grahan kar astkarmo ka xshay kar mukti prapt karenge !
Q189. Amaithun SAMVAR kise kehte hai iski aradhna kisne ki ?
189A. Kushil-Abrahmya-maithun ka sevan na karna amaithun SAMVAR kehlata hai iski aradhna Lakshmanji ne ki !
Q190. Aparigraha SAMVAR kise kehte hai iski aradhna kisne ki ?
190A. Murcha-sangraha-asakti nahi rakhna aparigraha SAMVAR hai iski aradhna Chitaud ke sresthivarya Bhamasah ne ki !
Q191. Bhamasah ne apna parigrah SAMVAR kaise kiya ?
191A. pna sara dhan maharana pratap ke charno me arpitkar mevad ki athva maharana ke aan-baan ki raksha ki !
Q192. Srotendriya SAMVAR kise kehte hai iska visay chetra kitna hai iski aradhna kisne ki ?
192A. Srotendriya ko vash me karna srotendriya SAMVAR hai iska chetra 12 yojan praman hai iski aradhna Sanatkumar chakravarty avam Namirajsri ne ki !
Q193. Chaksundriya SAMVAR kise kehte hai iski aradhna kisne ki ?
193A. Chaksundriya ko vash me karna chaksundriya SAMVAR hai iski aradhna illaichikumar,Marudevimata,Chandanbala ne ki !
Q194. Dhranendriya SAMVAR kise kehte hai iska SAMVAR kisne kiya ?
194A. Dhranendriya ko vash me karna dhranendriya SAMVAR hai iska SAMVAR Krishna maharaja ne kiya !
Q195. Rasnendriya SAMVAR kise kehte hai iski aradhna kisne ki ?
195A. Rasnendriya ko vash me karna rasnendriya SAMVAR kehlata iski aradhna Dharmruchi angaar ne ki !
Q196. Sparshindriya SAMVAR kise kehte hai iski aradhna kisne ki ?
196A. Sparshindriya ko vash me karna iski aradhna Jambuswamiji avam 8 patniya ne , karthik seth ne , aise anek sadhko ne !
Q197. Man SAMVAR kise kehte hai iski aradhna kisne ki ?
197A. Man ko vash me karna iski aradhna Sundariji ne,jiranseth aise anek hai !
Q198. Vachan SAMVAR kise kehte hai iski aradhna kisne ki ?
198A. Vachan ko vash me karna iski aradhna Udayan raja ne Chandpradyodhan ko xshama karke !
Q199. Kaya SAMVAR kise kehte hai iski aradhna kisne ki ?
199A. Kaya ko vash me rakhna iski aradhna
Gajasukumalji,Khandak angaar,Avantisu
kumal,Arjunmali avam Khandakji ke 500 sisya !
Q200. Bhandopkaran ki yatna se pratilekhan karte karte kewalgyan kisne paya ?
200A. Valkalchiriji ne !
Q201. 20va SAMVAR kon sa hai ?
201A. Sui kusagra matra adhi ko yatna se lena aur rakhna 20va SAMVAR hai !
TOPIC : NIRJARA Part – 1
Q202. Nirjara kise kehte hai aur iska dusra naam kya hai ?
202A. P{urvbaddh karmo ka kshay hona NIRJARA hai . Iska dusra naam KARM KSHAY hai .
Q203. Nirjara ke kitne bhed hai ?
203A. Do aur Baarah bhed hai ?
Q204. Do bhed kaun kaun se hai ?
204A. 1 Sakaam Nirjara
2 Akaam Nirjara
Q205. Akaam Nirjara kise kehte hai ?
205A. Bina ichchha ke, bina samjhe bujhe bhuk pyaas aadi kashto ko sahan karne wala aanshik karm kshay Akaam Nirjara hai .
Q206. Sakaam Nirjara kise kehte hai va yeh kya karti hai ?
206A. Aatma ke upar lage hue karm mal ko samul nasht kar dena Sakaam Nirjara hai . Sakaam Nirjara Aatma ke shuddh swaroop ko prakat karti hai .
Q207. Itvarik Anshan ke kitne bhed hai ?
207A. 14 bhed. Upavaas, Bela, Tela, Chaula, Panchola, Chhah, Saat, Ardh Maas, Maas, Do Maas, Teen Maas, Char Maas, Paanch Maas, Chaah Maas ki tapasya .
Q208. Itvarik Anshan ke 6 bhed kaun kaun se hai ?
208A. 1 Shreni Tap, 2 Prattar Tap, 3 Ghan Tap, 4 Varg Tap, 5 Varg varg Tap, 6 Prakirnak Tap .
Q209. Shreni Tap Kise kehte hai ?
209A. Upavaas, Bela, Tela, Chaula aadi kram se kiya jaane wala tap Shreni tap kehlata hai .
Q210. Prattar Tap kise kehte hai ?
210A. Shreni ko Shreni se guna karna Prattar Tap hai . Jaise 4 ko 4 se guna karne par 4×4=16 hote hai .
Q211. Ghan Tap kise kehte hai ?
211A. Shreni ko Prattar se guna karna GHAN hai . Ghan yukt tap ko GHAN kehte hai . 16 ko 4 se guna karne par 64 sankhya aati hai .
A212. Varg Tap kise kehte hai ?
212A. Ghan ko Ghan se guna karna Varg Tap kehlata hai . Varg yukt tap Varg Tap kehlaata hai.
Q213. Varg Varg Tap kise kehte hai ?
213A. Varg ko Varg se guna karna VARG VARG TAP kehlaata hai .
Q214. Prakirnak Tap kise kehte hai ?
214A. Jisme chhutkar tapasya ki jaaye, Jaise Navkaarsi se lekar Unchi se Unchi tapasya ka Prakirnak Tap mein samavesh hota hai .
Q215. Prakirnak tap ke kitne prakaar hai ?
215A. 14 Prakaar :- Ekavali, Ratnavali, Muktavali, Laghusarvatobhadra, Mahasarvatobhadra, Bhadrottar Pratima, Laghu Sinh Nishkridit, Mahasinh Nishkridit aadi tap.
Q216. Yaavatkathik Anshan kise kehte hai va iske kitne prakaar hai ?
216A. Char aahar ka tyaag jeevan paryant ke liye jismekiya jaata hai use Yaavatkathik Anshan kehte hai . iske 3 prakaar hai .
Q217. Yaavatkathik ke 3 prakaar kaun kaun se hai ?
217A. Bhakt Pratyakhyaan, Ingit Maran aur Paadpopgaman .
Q218.Yaavatkathit Anshan kab kiya jaata hai ?
218A. Antim Samay sannikat aane par aadi karanon se .
Q219. Bhakt Pratyaakhyaan ka kya swaroop hai ?
219A. isme Jeevan bbhar ke liye Charon prakaar ke aahar ka tyaag kiya jaata hai . isme sharir ki sewa Gamnagaman tatha halan chalan kiya jaata hai .
Q220. Ingit Maran ka kya swaroop hai ?
220A. Isme chaaro aahar ke tyaag ke sath nirdharit sthaan mein halan chalan ka aagaar rakhkar shesh sthaano mein Gamnagaman aur halan chalan ka bhi tyaag kiya jaata hai . Isme kisi se sewa nahin karaai jaati .
Q221. Paadpopgaman ka kya swaroop hai ?
221A. Isme chaaro aahar ka tyaag karte hue sab prakaar ke halan chalan ka bhi tyaag kar diya jaata hai . Jaise kati hui vruksh ki shaakha nischesht jameen par padi rehti hai . Isi tarah isme halan chalan ka sarvatha nishedh hone se nic=schesht rehna hota hai . isme sharir ki naa to koi Sushrusha hi ki jaati hai aur na hi kisi ki sewa hi li jaati hai .
Q222. Santhara kise kehte hai ?
222A. Uparokt bataye gaye teeno prakaar ke Anshan ko Santhara kehte hai .
Q223. Uparokt bataye teeno prakaar ke Anshan ke kitne bhed hai va kaun kaun se ?
223A. Jo Anshan Gramaadi basti mein, Upaashray mein kiye jaaye aur Mrutyu ke pashchat shav ka dahaadi sanskaar kiya jaata hai, use Nihaarim Anshan kehte hai .
Q224. Anahaarim Anshan kise kehte hai ?
224A. Jo Anshan Gramaadi basti se baahar jungle ki parvat ki gufao aadi mein kiye jaate hai, jinka antic sanskaar nahin kiya jaata hai, use Anahaarim Anshan kehte hai .
Q225. Bhuk se kam khaana kya hai va iske kitne prakaar hai ?
225A. Unodari Tap – Nirjara . iske 3 prakaar hai – Ann, Vastra aur Upakaran .
Q226. Nirjara ka teesra bhed kya hai aur iske kitne bhed hai ?
226A. Bhikshacharya iske 30 bhed hai .
Q227. Nirjara ka chautha bhed kaunsa hai aur kise kehte hai ?
227A. Ras Prityaag. Vigai ka tyaag aur swaad par vijay karna ras parityaag kehlaata hai .
Q228.Vigai kise kehte hai ?
228A. Vikaar utpann karne ke hetu ko Vigai kehte hai .
Q229. Vigai kitni aur kaunsi hai ?
229A. Vigai 5 hai ( Doodh, Dahi, Ghee, Tel, Mithai )
Q230. Vigai ke pratyaakhyaan kis prakaar kiye jaate hai ?
230A. Do prakaar se ( ek DESH se, va dursa SARV se )
Q231. Ek DESH se tyaag kaise hota hai ?
231A. jaise- kisi ne ek DESH se dahi ka tyaag kiya to kewal Dahi nahin kha sakta .
Q232. SARV ka tyaag kaise hota hai ?
232A Sarvatha prakaar se DAHI ka tyaag kiya hai to DAHI aur DAHI se bani hui jo vastuye Raaita aadi ho to kuchh bhi nahin kha sakte .
Q233. Nirjara ka paanchvaa bhed kaunsa hai va kise kehte hai ?
233A. Kaaya klesh Tap. Sardi, Garmi, aadi ko sahne se Kaayaklesh hota hai.
Topic :- Nirjara – 2
Q233. Nirjara ka paanchvaa bhed kaunsa hai va kise kehte hai ?
233A. Kaaya klesh Tap. Sardi, Garmi, aadi ko sahne se Kaayaklesh hota hai .
Q234. Kaaya Klesh Tap ke kitne bhed hai ?
234A. 13 bhed hai .
Q235. Nirjara ka Chhattha bhed kaunsa hai va uska kya tatparya hai ?
235A. Pratisanlinta. Indriyon ko vash mein rakhna aur kashaay va Yogon ko rokna .
Q236. Pratisanlinta ke kitne bhed hai ?
236A. 13 bhed ( 5 indriya, 4 Kashaay, 3 yog evam Man ko vash mein karna ) .
Q237. Nirjara ka Saatva bhed kaunsa hai va kise kehte hai ?
237A. Praayashchit . Apni bhul ko sweekaar kar bhavishya mein bhul nahin karna Praayashchit kehlaata hai .
Q238. Praayashchit ke kitne bhed hai va yeh sadhu ke hai ya grihasth ke hai ?
238A. 50 bhed hai . Kewal sadhu ke hai .
Q239. Nirjara ka aathva bhed kaunsa hai va who kya hai ?
239A. Vinay – Dharm ka mool hai .
Q240. Vinay ke kitne bhed hai aur kaun kaun se hai ?
240A. Vinay ke 7 bhed – Gyaan Vinay, Darshan Vinay, Chaaritra Vinay, Man Vinay, Vachan Vinay, Kaaya Vinayaur Lokopchaar Vinay .
Q241. Vinay Dharm ka Mool hai aisa Shastro mein ullekh hai kya ?
241A. Haa. “ Vinao Mulo Dhammo “
Q242. Vinay se kya tatparya hai ?
242A. Gurujanon ko vandan karna tatha bado ki aagya ka paalan karna Vinay hai .
Q243. Nirjara ka Nauva bhed kaunsa hai va kise kehte hai ?
243A. Vaiyavrutya – Sewa karna Vaiyavrutya Tap hai .
Q244. Vaiyavrutya ke kitne bhed hai ?
244A. 10 bhed .
Q245. Nirjara ka dasva bhed kaunsa hai va kise kehte hai ?
245A. Swaadhyaay – Naya Gyan Sikhna, Sikhaana aur Gin na Swaadhyaay naamak Tap kehlaata hai .
Q246. Swadhyaay ke kitne ang hai va kaun kaun se ?
246A. 5 Ang hai – Vaachana, prichchhanaa, Parivartana, Anupreksha aur Dharmkatha .
Q247. Vaachana kya hai ?
247A. guru ya Guruni ke much se shastra padhna .
Q248. Pruchchhana kya hai ?
248A. Swadhyaay karte samay kisi Vishay mein shanka hone par guru se shraddha purvak prashna poochhna PRUCHCHHANA hai .
Q249. Parivartana kya hai ?
249A. Pathit yaani padhe hue path ki aavrutti karna Parivartana hai .
Q250. Anupreksha kya hai ?
250A. Vaachana, Pruchchhana aur Parivartana ke dwara prapt Gyaan ka Chintan karna Anupreksha hai .
Q251. Dharm Katha kya hai ?
251A. Pravachan dena Dharm Katha hai .
Q252. Vaachana , Pruchchhana kitne vyaktiyon ke bich hoti hai ?
252A. Do vyaktiyon ke bich hoti hai .
Q253. Parivartana , Anupreksha kitne vyaktiyon ke bich hoti hai ?
253A. Yeh 2 vyakti ya Akele bhi kar sakte hai .
Q254. DharmKatha kitne vyaktiyob ke bich hoti hai ?
254A. Vah Aneko vyaktiyon ke bich hoti hai .
Q255. Nirjara ka Gyaarahavaa bhed kaunsa hai ?
255A. Dhyaan
Q256. Char Dhyaan mein kitne Shubh aur kitne Ashubh hai ?
256A. Do Shubh aur Do Ashubh hai .
Q257. Sansaar ko badhane wale kitne Dhyaan hai ?
257A. Pratha ke Do – Aatardhyaan , Raudradhyaan .
Q258. Mukti kop rapt karane wale kitne dhyaan hai ?
258A. Antim Do – Dharm Dhyaan aur Shukla Dhyaan .
Q259. Nirjara ka Baarahavaa bhed kaunsa hai va kise kehte hai ?
259A. Kaaryotsarg – Kaaya ke vyaapaar ko rokne ko Kaaryotsarg kehte hai .
Q260. Karyotsarg kitne prakaar ka hai ?
260A. Do prakaar ka hai – Dravya Vyutsarg aur Bhaav vyutsarg .
TOPIC :- BANDH
Q261. Bandh kise kehte hai va kaun kaun se hai ?
261A. Aatma ke sath karm pudhgalo ke milne ko bandh kehte hai !
4 prakar ke Prakruti,sthiti,Anubhag,pradesh band !
Q262. Yog ke nimit kon se bandh hote hai ?
262A. Prakruti bandh aur pradesh bandh !
Q263. Sthiti aur anubhag bandh me kon nimit banta hai ?
263A. Kasay nimit banta hai ye dono bandh kasay ke nimit se bandhte hai !
Q264. 11ve gunsthanak ke aage bandh ke kitne bhed hai ?
264A. Prakruti aur pradesh ye 2bandh hai !
Q265. Sthiti aur anubhag bandh kyu nayi hote hai ?
265A. Sthiti aur anubhag bandh kasay ke nimit se bandhte hai aur 11ve gunsthanak ke aage kasay nayi hote hai !
TOPIC :- MOKSH TATVA
Q266. Mox tatva kise kehte hai ?
266A. Aatma se sampurna karmo ke alag ho jane per aatma ka sada ke liye apne swaroop me sthit ho jana mox tatva kehlata hai !
Q267. Mox tatva ke kitne bhed hai va kon kon se ?
267A. 4 bhed –
Samyaggyan
Samyagdarsan
Samyagcharitra
Samyagtap !
Q268. Samyag gyan kise kehte hai ?
268A. Samyag roop se dravya vishes,gun vishes ya paryay vishes ko janna samyag gyan hai !
Q269. Samyag gyan kitne prakar ke hai ?
269A. 5 prakar ke- Mati,Srut,Avadhi,Man paryav,Kewalgyan!
Q270. Mox tatva ka 2ra bhed kon sa hai va kise kehte hai ?
270A. Samyagdarsan ! Jivajivadi tatyarup bhavo tatvo ke yatarth swaroop per antkaran ke drud sanklap ke sath sradan karna samyag darsan hai jiv-ajiv,punya-paap,Ashrav-Sam
var,Nirjara,Bandh aur mox in 9 tatvo ka samyag sradan he samyag darsan hai nav tatva aur shad dravyo ke yatarth swaroop par sradha karna samyag darsan hai Tatvarth sutra me acharya UMASWATI”
Samyag darsan ki paribhasa is prakar ki hai ‘Tatvarth sradhan samyag darsanam’
Q271. Mox marg ka 3ra bhed kon sa hai aur kise kehte hai ?
271A. Samyag charitra ! Samyag charitra kise kehte hai . Charitra mohniya karm ke xshay, upsham ya Kshayopsham se hone wale virti parinam ko charitra kehte hai jo 8 karmo ko chure (nash kare) use charitra kehte hai !
Q272. Charitra ke kitne bhed hai va kon kon se ?
272A. 5 bhed –
1.Samayik charitra
2.Chedopasthaniya charitra
3.Parihar visurdhi charitra
4.Suksham sampray charitra
5.Yathakhyat charitra !!
Q273. Samyag charitra kya hai ?
273A. Kasay ya hinsadi karyo se nivrut hokar karm mull rupi avaran ko dur karke aatma ke sudh swabbav me smaran karne ki sehaj prakriya ko samyag charitra kehte hai !
Q274. Mox ka 4th bhed kon sa hai va kise kehte hai ?
274A. Samyag tap ! Mitti adi se misrit swarn jaise agni me tapane se sudh ho jata hai, usi prakar karm rupi mel se aatma, tapaschariya rupi agni me tap kar sudh ho jata hai use tap kehte hai !

Related Articles

× CLICK HERE TO REGISTER